Monday, 6 June 2016

Aaj Bhi Yaad Hai, Tere Naam Ki Tarah



Aaj bhi yaad hai, tere naam ki tarah,
Kya tujhe yaad aati hai meri,
Dekh kar chaand ki taraf?
Aey khuda, mere pyaar ko gehraai toh di,
Par umr lambi dena kyun bhool gaya?

Shukraguzaar toh hai hum, uss yaar ke,
Jisne waqt bitane humare sath, waqt toh nikala,
Warna kya reh jaata aaj yaad karne layak?

Duniya bhar ke ghamon se mehfooz the uski aankhon mein,
Beghar jaise ho gaye lagta hai ab.

Qayamat hai yeh tarq-e-arzoo bhi,
Warna na-ummedi aur thakaan itni na thi zindagi se kabhi.

Sang saathi sa hai wo, wo hai saaya,
Yu hi toh nahi hai pyaar beshumaar.
Koi toh baat hogi,
Aaj bhi yaad hai, naam tera, aayat ki tarah.

Kuch rishte lafzon se nahi toot te,
Pyaar ko kab angoothiyon aur kaagzon ka sahara laga?
Yeh dil ka rishta toh rooh se bandhta hai,
Jadoo harr kisi ke sath mehsoos nahi hota.

Jashn koi raas naa aaye,
Ladte hai roz,
Aur haath mein talvaar bhi nahi!
Yaadon se joojna aasaan bhi toh nahi,
Doobe hai iss kadar,
Kinaare pe aana hi bhool gaye ho maano.

Kyun rahe pyaar hamesha zyada,
Tere liye, kisi bhi aur jazbaat se?
Kaash kadam do chaar chal paate,
Phere tere mann ke..

Mere hisse aayi teri parchayiaan,
Kitne vaade poore karne baaki hai ab,
Iss pyar ko toh kayi zindagiyan lagengi fanah hone ko..

Lahu ke saath behte tere pyaar ko,
Karein kaise alag ragon se apni?
Yun toh insaan harr roz kuch khota hai,
Kisi ke sath se badhkar anmol cheez kya hai lekin?

Yaad unhe kiya jaata hai,
Jinhe bhool gaye ho,
Yun hi toh nahi,
Hichkiyaan aati hongi unhe saara saara din.

Karte hai baatein unse aasmaan ko dekh,
Shayad yahi pahuncha de mera pyaar uss tak,
Shayad yeh hawa hi selha de,
Uske baalon ko meri ungliyon ki taraf se,
Shayad yeh baarish hi bhiga de,
Mere bepanah pyaar se usse.

No comments:

Post a Comment

Commenting is blogger currency. Thank you for reading, now I would like to know your views too :) Your comment is important!