Thursday 28 November 2013

Zindagi..

Guzri hui zindagi ko kabhi yaad na kar,
Taqdir me jo nahi likha, uski fariyaad na kar!

Jo hoga wo hokar rahega,
Tu kal ki fikar mein, apni aaj ki hasi barbad na kar!

Palkon mein kaid rehne na de sapno ko,
Unhe to haqiqat main badalna hai.

Zindagi me jeena nahi, jeene ka andaz zaruri hai,
Seene mein lakh ghum sahi, chehre pe muskan zaruri hai!

Hans marte hue bhi gaata hai,
Aur mor naachte hue bhi rota hai,

Zindagi kabhi dhoop hai toh kabhi chaav,
Ye zindagi ka usool hai,
Dukho wali raat neend nahi aati,
Aur…
Khushi wali raat,
Kaun sota hai!


4 comments:

  1. Jaise zindagi ke bare mai itna pyaara likha hai waise hi khwabo ke bare mai likhiye .. Acha lagega .....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sure Tejas, After exams, will work on it :)
      glad that you liked. :)

      Delete
  2. Wow Ayesha, you write shayari too, really deep...

    Richa

    ReplyDelete
    Replies
    1. thank you Richa :)
      yes, I do! bass mood hona chahiye, which is rare :P
      thank you for stopping by :D

      Delete

Commenting is blogger currency. Thank you for reading, now I would like to know your views too :) Your comment is important!