Saturday 28 October 2017

Faasley


Faasle bahut hain,
Par itna maan lijiye,
Aap khayalon me itne karib hain ki faaslon ka ehsaas hi nahin hota.

Aaina hoon main,
Mere samne aakar to dekho,
Khud nazar aaoge,
Tere harr lafz ko ibaadat banakar sambhala hai,
Dagmaga jaoge mera dard utha kar to dekho,
Yun to aasaan nazar aata hai,
Kitna mushkil hai meri raaha se jaakar to dekho.

Ajnabee toh yun hue,
Lagta hai baant ke samandar ko do dariya kiye,
Kabhi haalat se, kabhi zamane se bebas ho gaye,
Aate jaate najane kitne pal tere naam kiye,
Jhatak kar haath jab bhi chale door tujhse,
Zindagi ne tujh mein ulajhne k bahane hazaar diye.

Kayi zakhm dil ke seeye gaye,
Kayi mushkilon me jeeye,
Magar hote apne barbaad wajood ki khabar na le sake..

Faaslon ka asli ehsaas toh tab hua,
Jab maine kaha 'theek hun' aur aapne maan liya..

Darmiyan humare fasslon ko kuch aur bhi baaki rehne do,
Ek baar fir kabhi, yun hi achanak milne ki aarzo toh baaki rehne do..

Kal mile hum agar kahin,
Toh kuch ho kehne tumhare pass aur kuch sunne humare paas,
Gile shikvon ki ho agar baarish, toh bheeg sake hum sath sath,
Muh fer kar na nikal jayein, ajnabeeyon jaise,
Kuch lamho ki hi sahi,
Mulakaton se toh na katrayein..

4 comments:

Commenting is blogger currency. Thank you for reading, now I would like to know your views too :) Your comment is important!