Par itna maan lijiye,
Aap khayalon me itne
karib hain ki faaslon ka ehsaas hi nahin hota.
Aaina hoon main,
Mere samne aakar to dekho,
Khud nazar aaoge,
Tere harr lafz ko
ibaadat banakar sambhala hai,
Dagmaga jaoge mera
dard utha kar to dekho,
Yun to aasaan nazar
aata hai,
Kitna mushkil hai meri
raaha se jaakar to dekho.
Ajnabee toh yun hue,
Lagta hai baant ke
samandar ko do dariya kiye,
Kabhi haalat se, kabhi
zamane se bebas ho gaye,
Aate jaate najane
kitne pal tere naam kiye,
Jhatak kar haath jab
bhi chale door tujhse,
Zindagi ne tujh mein
ulajhne k bahane hazaar diye.
Kayi
zakhm dil ke seeye gaye,
Kayi
mushkilon me jeeye,
Magar hote apne barbaad
wajood ki khabar na le sake..
Faaslon ka asli ehsaas
toh tab hua,
Jab maine kaha 'theek
hun' aur aapne maan liya..
Darmiyan humare
fasslon ko kuch aur bhi baaki rehne do,
Ek baar fir kabhi, yun
hi achanak milne ki aarzo toh baaki rehne do..
Kal mile hum agar kahin,
Toh kuch ho kehne
tumhare pass aur kuch sunne humare paas,
Gile shikvon ki ho
agar baarish, toh bheeg sake hum sath sath,
Muh fer kar na nikal
jayein, ajnabeeyon jaise,
Kuch lamho ki hi sahi,
Mulakaton se toh na
katrayein..
Aayesha, bohot hi sundar kavita hai jo aatma ko chu leta hai:)
ReplyDeleteThank you for stopping by, Vishal :)
DeleteAlways so beautiful.
ReplyDelete:)
Delete