Kabhi
lagta hai zindagi tu ruk si gayi hai,
Aur
kabhi lagta hai tu bhaag rahi hai.
Yeh
waqt bhi buss guzarne k liye hi katt ta jaa raha hai,
Din
pe din buss nikalte ja rahe hai,
Warna
hum to thame hi hue hai!
Raat
ka andhera aur sannata dekh ke acha lagta hai,
Lagta
hai duniya bhi mere ghum me shareek hui hai,
Par
kambakht kal subeh fir ujaala hoga,
Aur
sab chal padenge,
Hum
wahin khade reh jayenge tanha!
Kitni
chakachaund bhari yeh duniya,
Harr
koi fir b andar se khokla,
Jisse
b baat karun, kyun hai wo toote dil? Behaal? Bebass?
Insaan
kya hai?
Bediyon
me bandha,
Adhoore
rishton tale daba ek ghulaam.
Kabhi
lagta hai tune jo diya
Wahi
bahot hai, aey zindagi,
Jhoom
lun inn khushiyon mein,
Choom
lun harr naye din ko,
Aur
kabhi lagta yun - sari neymatein bekaar.
Kaisi
hai paheli tu zindagani,
Kabhi
hasaye, kabhi tu rulaye!
Wonderfully written Aayesha,you have a natural flair at penning down your feelings.
ReplyDeletexoxo - Style.. A Pastiche -
Thank you so much :)
DeleteKeep visiting!